Share-e-dil with Niks · 25 सित॰ 2026 · 8:05
Podli ऐप में सुनें 🎧
अपने पसंदीदा पॉडकास्ट फ़ॉलो करें, ऑफ़लाइन और कार में CarPlay व Android Auto के साथ सुनें, और हमेशा वहीं से जारी रखें जहाँ छोड़ा था। मुफ़्त में आज़माएँ।
Kabhi aap poora din akele rehkar bhi bilkul theek hote hain… aur kabhi logon ke beech rehkar bhi andar se bahut akela mehsoos karte hain.
Toh phir akele rehna aur lonely feel karna kya same cheez hai?
Is episode mein hum baat karenge solitude aur loneliness ke beech ke us difference ki, jise hum aksar ignore kar dete hain.
Kyun kabhi relationship mein hote hue bhi loneliness feel hoti hai? Kyun social media par itne logon se connected hone ke baad bhi dil khaali lag sakta hai? Kya loneliness se bachne ke liye hum kabhi-kabhi galat logon ko apni zindagi mein rok kar rakhte hain? Aur kya apne saath comfortable hona loneliness se bahar nikalne ka ek hissa ho sakta hai?
Ye episode un sab ke liye hai jo kabhi bheed mein bhi akela mehsoos kar chuke hain… aur unke liye bhi jo dheere-dheere apni hi company ko enjoy karna seekh rahe hain.
🎙️ Share-e-Dil with Niks “Jahan baatein sirf pyaar ki nahi, har ek ehsaas ki hoti hain.”
Agar is episode ki koi baat aapko relatable lagi, toh ise kisi aise insaan ke saath share karein jo shayad ye feeling samajhta ho. ❤️
#ShareEDilWithNiks #Loneliness #AloneButNotLonely #SelfLove #Emotions #HindiPodcast #HinglishPodcast #LifeTalk #MentalWellbeing #Relationships