Share-e-dil with Niks · 23 सित॰ 2026 · 5:53
Podli ऐप में सुनें 🎧
अपने पसंदीदा पॉडकास्ट फ़ॉलो करें, ऑफ़लाइन और कार में CarPlay व Android Auto के साथ सुनें, और हमेशा वहीं से जारी रखें जहाँ छोड़ा था। मुफ़्त में आज़माएँ।
Kabhi-kabhi koi insaan hamari zindagi se chala jaata hai, lekin uske saath jude sawaal nahi jaate.
“Usne aisa kyun kiya?” “Kya mujhse koi galti hui thi?” “Bina kuch kahe woh kaise chala gaya?” “Kaash ek baar woh mujhe sab explain kar deta…”
Unanswered breakup shayad isliye aur zyada mushkil hota hai, kyunki relationship khatam ho jaata hai… lekin kahani ka jawab nahi milta.
Is episode mein hum baat karenge closure, unanswered questions aur us khamoshi ki, jo kabhi-kabhi kisi goodbye se bhi zyada takleef deti hai.
Shayad har kahani ko saamne wale se closure nahi milta. Kabhi-kabhi humein khud hi decide karna padta hai ki ab hum apni zindagi ko us ek unanswered question ke saath nahi rokenge.
🎙️ Share-e-Dil with Niks
“Jahan baatein sirf pyaar ki nahi, har ek ehsaas ki hoti hain.”
Agar aapne bhi kabhi kisi unanswered relationship, unanswered breakup ya adhuri kahani ka ehsaas kiya hai… toh shayad ye episode aapko thoda apna sa lage.
Listen. Feel. Share-e-Dil. ❤️
#ShareEDilWithNiks #Closure #Heartbreak #UnansweredBreakup #Healing #Emotions #HindiPodcast #HinglishPodcast #RelationshipTalk #LifeTalk