Aaj Ka Bharat · 3 सित॰ 2026 · 6:16
Podli ऐप में सुनें 🎧
अपने पसंदीदा पॉडकास्ट फ़ॉलो करें, ऑफ़लाइन और कार में CarPlay व Android Auto के साथ सुनें, और हमेशा वहीं से जारी रखें जहाँ छोड़ा था। मुफ़्त में आज़माएँ।
Aapke ghar ki chini ki keemat, ek hi saal mein 13% badh gayi hai kuch shehron mein toh 60 rupaye kilo tak pahunch gayi. Wajah sirf ek nahi hai: Maharashtra mein bemausam baarish ne ganne ki fasal barbaad ki, stock buffer pichle saal se kaafi kam hai, aur jo shayad sabse dilchasp hai humara wahi E20 ethanol policy jo humne pehle cover ki thi, ab seedhe aapki chai ki chini ko bhi mehnga kar rahi hai. ISMA khud keh chuka hai ki jitni tezi se rates badhe hain, wo asli kami se zyada, jamakhori aur speculation ka nateeja hai. Is episode mein hum samajhte hain mausam, energy policy, global market, aur logon ka lalach sab kaise milkar, aapki rasoi tak pahunch jaate hain.