Aaj Ka Bharat · 5 सित॰ 2026 · 7:16
Podli ऐप में सुनें 🎧
अपने पसंदीदा पॉडकास्ट फ़ॉलो करें, ऑफ़लाइन और कार में CarPlay व Android Auto के साथ सुनें, और हमेशा वहीं से जारी रखें जहाँ छोड़ा था। मुफ़्त में आज़माएँ।
Ek viral podcast mein, ek influencer khule aam kehta hai "maine ek insaan ki khopdi fod di, aur mujhe jail tak nahi hui, kyunki bade neta mere bhai hain." Kapil Mishra, Chirag Paswan, aur khud PM Modi ka naam leta hai. Ye poori kahani judi hai humare "Cockroach Janta Party" episode se Jantar Mantar par CJP protest ke dauran hui ek jhadap se, jisme ek activist ke pita bure tarah ghayal hue the. Jaise hi video viral hota hai, Rahul Gandhi sawaal uthate hain, Chirag Paswan khud ko is se alag kar lete hain, aur Delhi Police case mein SC/ST Act aur criminal intimidation ki dhaarayein jod deti hai. Par jab pressure badhta hai, influencer apna hi bayan palat deta hai. Is episode mein hum samajhte hain — kya ye sach mein political connections ka khel hai, ya sirf ek insaan ka jhootha dikhava, aur kyun itne logon ko ye baat sach lagti hai.