Podliपॉडकास्ट प्लेयर Webplayer

YASHARIM EL TRUE GRACE BIBLE PODCAST

YASHARIM EL TRUE GRACE BIBLE PODCAST

PEHLI MAUT OR DUSRI MAUT ADAM MEN MAUT MASIH MEN ZINDGHI

YASHARIM EL TRUE GRACE BIBLE PODCAST · 22 सित॰ 2025 · 53:25

0:0053:25

Podli ऐप में सुनें 🎧

अपने पसंदीदा पॉडकास्ट फ़ॉलो करें, ऑफ़लाइन और कार में CarPlay व Android Auto के साथ सुनें, और हमेशा वहीं से जारी रखें जहाँ छोड़ा था। मुफ़्त में आज़माएँ।

पहली मौत और दूसरी मौत — आदम में मौत, मसीह में ज़िंदगी Pehli Maut kya hai?Pehli maut jism ki maut hai — Adam ki nafarmani (bagh-e-Adan men) ke sabab se sab insaan gunah ke neeche aa gaye.“Gunah ki mazdoori maut hai.” (Romiyo 6:23)Adam men sab marte hain, yani har ek insaan ka jism fani hai, aur kabar uska intezar karti hai.📖 Dusri Maut kya hai?Dusri maut abad ke liye alag hona hai Khuda se — jisko "aag ka talab" kaha gaya (Wahiy 20:14).Pehli maut jism ki hai, lekin dusri maut ruhani alagaw hai.Agar koi insan Masih Yisu ka imaan nah rakhe, aur gunah ke neeche rahe, to woh dusri maut ka shikar hota hai.📖 Pehle Adam aur Dusre AdamPehla Adam (zameeni Adam) ki nafarmani se maut aur dosh sab logon men aayi.Dusra Adam (Yisu Masih) ki farmanbardari se zindagi aur rasti-baazi mili.1 Korinthiyo 15:22 – “Jese Adam men sab marte hain, waisa hi Masih men sab zinda kiye jayenge.”📖 Pehla Ji Uthna (First Resurrection)Jo abhi bhi Masih par imaan late hain, unke andar ek roohani punar-janm hota hai.Yisu ne kaha:“Qiyamat aur zindagi to main hoon: jo mujh par imaan lata hai, go mar jaye, tab bhi zinda rahega.” (Yuhanna 11:25)Yeh ruh ki zindagi hai jo abhi se shuru ho jati hai jab koi iman la kar fazl ke neeche aata hai.📖 Shariat vs FazlJo aaj bhi Musa ki shariat aur dus hukumon ko dharmikta ka zariya banata hai, woh ab bhi pehle Adam men hai — yani maut ke neeche.Shariat sirf dikhane ke liye di gayi thi ke sab doshi hain (Romiyo 3:20).Lekin Masih Yisu men fazl aur sachchai ka ahd hai — jo ruh deta hai, aur zinda karta hai.📖 Zinda Kaun hai?Jo Masih Yisu ke imaan men hai, woh abhi se zinda hai.Unke jism ke liye likha hai:“Badan gunah ke sabab se murda hai, magar ruh rasti-baazi ke sabab se zinda hai.” (Romiyo 8:10)Un par dusri maut ka asar nahi hota.📖 Asaan Shabdon men:Pehli maut – Jism ki maut (Adam ke gunah ke sabab se sab marte hain).Pehla ji uthna – Masih Yisu par iman se, roohani tor par zinda hona.Dusri maut – Khuda se abad tak alag ho jana (aag ka talab).Dusri maut ka asar sirf unpar hoga jo Masih ke fazl aur sachchai men nahi aaye.👉 Matlab ye hai ke:Agar aaj hum Masih Yisu men imaan le kar ruh ke adhin chal rahe hain, to hum pehle hi "murdo men se zinda" ho gaye hain. Aur jo Masih men zinda hain, unpar dusri maut ka kabhi asar nahi hoga.

एपिसोड: YASHARIM EL TRUE GRACE BIBLE PODCAST

Podliमुफ़्त Podli ऐप डाउनलोड करें
↓ App